Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jazb-e-yaqin ki mail-e-wahm-o-guman hai aaj

Salik Lakhnavi

jazb-e-yaqin ki mail-e-wahm-o-guman hai aaj

Salik Lakhnavi

MORE BYSalik Lakhnavi

    jazb-e-yaqīñ ki mā.il-e-vahm-o-gumāñ hai aaj

    phir rahzanoñ zad meñ rah-e-kārvāñ hai aaj

    phir hai numā.ish-e-qad-o-gesū ehtimām

    shāyad junūn-o-shauq phir imtihāñ hai aaj

    phir hai junūñ-navāz kisī nigāh-e-nāz

    phir jumbish-e-nazar meñ koī dāstāñ hai aaj

    ab ehtiyāj-e-rahbar-e-manzil nahīñ mujhe

    ab jo qadam bhī uTh gayā manzil-nishāñ hai aaj

    qaa.em ba-yak taġhayyur-e-paiham hai zindagī

    vo kal nahīñ rahegā jo rang-e-jahāñ hai aaj

    manzil-nasīb ho gayā kārvān-e-shauq

    jo pesh-o-pas meñ gum thā vo rahbar kahāñ hai aaj

    jazb-e-yaqin ki mail-e-wahm-o-guman hai aaj

    phir rahzanon ki zad mein rah-e-karwan hai aaj

    phir hai numaish-e-qad-o-gesu ka ehtimam

    shayad junun-o-shauq ka phir imtihan hai aaj

    phir hai junun-nawaz kisi ki nigah-e-naz

    phir jumbish-e-nazar mein koi dastan hai aaj

    ab ehtiyaj-e-rahbar-e-manzil nahin mujhe

    ab jo qadam bhi uTh gaya manzil-nishan hai aaj

    qaem ba-yak taghayyur-e-paiham hai zindagi

    wo kal nahin rahega jo rang-e-jahan hai aaj

    manzil-nasib ho hi gaya karwan-e-shauq

    jo pesh-o-pas mein gum tha wo rahbar kahan hai aaj

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now