jazb jalwon mein hua aisa ki jalwa ban gaya
jazb jalvoñ meñ huā aisā ki jalva ban gayā
mujh ko samjho sham’-e-mahfil hastī-e-parvāna kyā
zarra zarra hai jahāñ kā aaj rashk-e-āftāb
phir koī dohrā rahā hai tuur kā afsāna kyā
jaan kar maiñ un ke qadmoñ meñ girā huuñ jhuum kar
maslahat thī 'ishq kī ye laġhzish-e-mastāna kyā
kyā zarūrat hai sune kyoñ vo mirī rūdād-e-ġham
husn kī mahfil meñ dard-e-ishq kā afsāna kyā
allah allāh aaj vo bhī to garebāñ-gīr haiñ
sun liyā hai 'sābir'-e-nāshād kā afsāna kyā
jazb jalwon mein hua aisa ki jalwa ban gaya
mujh ko samjho sham’-e-mahfil hasti-e-parwana kya
zarra zarra hai jahan ka aaj rashk-e-aftab
phir koi dohra raha hai tur ka afsana kya
jaan kar main un ke qadmon mein gira hun jhum kar
maslahat thi 'ishq ki ye laghzish-e-mastana kya
kya zarurat hai sune kyon wo meri rudad-e-gham
husn ki mahfil mein dard-e-ishq ka afsana kya
allah allah aaj wo bhi to gareban-gir hain
sun liya hai 'sabir'-e-nashad ka afsana kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.