jazba-e-hamsari har ruKH se ayan hota hai
jazba-e-hamsari har ruKH se ayan hota hai
Maya Khanna Raje Barelvi
MORE BYMaya Khanna Raje Barelvi
jazba-e-hamsarī har ruḳh se ayaañ hotā hai
terī mahfil meñ jahāñ merā bayāñ hotā hai
aa.ina hotā hai jab mere muqābil ai dost
terī sūrat tirā ruḳh us se ayaañ hotā hai
ik hasīñ phuul kā paikar hai suhānī shab hai
phir mire siine meñ ik dard javāñ hotā hai
dekhnā jānib-e-gul-zār zarā ahl-e-qafas
baat kyā hai ye udhar kaisā dhuāñ hotā hai
maiñ tirā aa.ina huuñ tū hai mirā aks-e-hasīñ
zarre-zarre se tirā jalva ayaañ hotā hai
mere dil meñ hai vahīñ maskan-e-yād-e-ġham-dost
Tīseñ uThtī haiñ jahāñ dard jahāñ hotā hai
rāh-e-ulfat kā tasavvur bhī kabhī ai 'rāje'
ahl-e-dānish ke liye bār-e-garāñ hotā hai
jazba-e-hamsari har ruKH se ayan hota hai
teri mahfil mein jahan mera bayan hota hai
aaina hota hai jab mere muqabil ai dost
teri surat tera ruKH us se ayan hota hai
ek hasin phul ka paikar hai suhani shab hai
phir mere sine mein ek dard jawan hota hai
dekhna jaanib-e-gul-zar zara ahl-e-qafas
baat kya hai ye udhar kaisa dhuan hota hai
main tera aaina hun tu hai mera aks-e-hasin
zarre-zarre se tera jalwa ayan hota hai
mere dil mein hai wahin maskan-e-yaad-e-gham-dost
Tisen uThti hain jahan dard jahan hota hai
rah-e-ulfat ka tasawwur bhi kabhi ai 'raje'
ahl-e-danish ke liye bar-e-garan hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.