jazba-e-ishq jo pindar se wabasta hai
jazba-e-'ishq jo pindār se vābasta hai
dar-haqīqat mire iqrār se vābasta hai
hai haqīqī ki majāzī nahīñ khultā ye raaz
silsila 'ishq kā asrār se vābasta hai
is ġhalat-fahmī ko tū dil se nikālegā kab
kāmyābī tirī dastār se vābasta hai
ek maḳhlūq zabānoñ se miTātī hai jise
ik qayāmat usī dīvār se vābasta hai
nau’-e-insān kī duniyā meñ taraqqī kā raaz
us kī ījād kī raftār se vābasta hai
ek insān kī duniyā meñ pazīrā.ī talak
us ke ḳhud apne hī kirdār se vābasta hai
har mohabbat kā ta'alluq sabhī rishtoñ kī baqā
dil ke jazbāt ke iz.hār se vābasta hai
jāgtī aañkh se firdaus-e-barīñ ab tak kyoñ
in damakte lab-o-ruḳhsār se vābasta hai
narm lafzoñ se utartī hai jo shabnam dil meñ
tere lahje tirī guftār se vābasta hai
bāñdh rakkhī hai faqat vālī-e-taiba se umiid
merī baḳhshish usī darbār se vābasta hai
aap ko aatā hai har sar ko jhukāne kā fan
ye hunar aap ke kirdār se vābasta hai
jiit yā haar kā kab ḳhatm tamāsha hogā
khel bas saañs kī raftār se vābasta hai
kyā parinde kabhī mahsūs kareñge 'shamsa'
hijr kā dard jo ashjār se vābasta hai
jazba-e-'ishq jo pindar se wabasta hai
dar-haqiqat mere iqrar se wabasta hai
hai haqiqi ki majazi nahin khulta ye raaz
silsila 'ishq ka asrar se wabasta hai
is ghalat-fahmi ko tu dil se nikalega kab
kaamyabi teri dastar se wabasta hai
ek maKHluq zabanon se miTati hai jise
ek qayamat usi diwar se wabasta hai
nau’-e-insan ki duniya mein taraqqi ka raaz
us ki ijad ki raftar se wabasta hai
ek insan ki duniya mein pazirai talak
us ke KHud apne hi kirdar se wabasta hai
har mohabbat ka ta'alluq sabhi rishton ki baqa
dil ke jazbaat ke izhaar se wabasta hai
jagti aankh se firdaus-e-barin ab tak kyon
in damakte lab-o-ruKHsar se wabasta hai
narm lafzon se utarti hai jo shabnam dil mein
tere lahje teri guftar se wabasta hai
bandh rakkhi hai faqat wali-e-taiba se umid
meri baKHshish usi darbar se wabasta hai
aap ko aata hai har sar ko jhukane ka fan
ye hunar aap ke kirdar se wabasta hai
jit ya haar ka kab KHatm tamasha hoga
khel bas sans ki raftar se wabasta hai
kya parinde kabhi mahsus karenge 'shamsa'
hijr ka dard jo ashjar se wabasta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.