jazba-e-ishq kam dikhata hun
jazba-e-'ishq kam dikhātā huuñ
jaan tujh par magar luTātā huuñ
yuuñ kisī ko nahīñ maiñ yaad aayā
maiñ bhī to sab ko bhuul jaatā huuñ
kaan bharte haiñ ek duuje ke
apne dushman ko maiñ hī bhātā huuñ
tere chehre se zulf kā pardā
apne hāthoñ se maiñ haTātā huuñ
baat kar luuñ hazār karne ko
maiñ hī ḳhud dūriyāñ baḌhātā huuñ
tujh se shikva bhī shā'irāna hai
yuuñ tujhe aa.ina dikhātā huuñ
hijr kī raat mujh pe hai bhārī
sub.h uThtā huuñ laḌkhaḌātā huuñ
vo mujhe chhoḌne hī vaalā hai
maiñ bhī nazdīkiyāñ miTātā huuñ
ḳhvāhish-e-vasl yuuñ nahīñ 'sāhil'
milne vāloñ se maat khātā huuñ
jazba-e-'ishq kam dikhata hun
jaan tujh par magar luTata hun
yun kisi ko nahin main yaad aaya
main bhi to sab ko bhul jata hun
kan bharte hain ek duje ke
apne dushman ko main hi bhata hun
tere chehre se zulf ka parda
apne hathon se main haTata hun
baat kar lun hazar karne ko
main hi KHud duriyan baDhata hun
tujh se shikwa bhi sha'irana hai
yun tujhe aaina dikhata hun
hijr ki raat mujh pe hai bhaari
subh uThta hun laDkhaData hun
wo mujhe chhoDne hi wala hai
main bhi nazdikiyan miTata hun
KHwahish-e-wasl yun nahin 'sahil'
milne walon se mat khata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.