jazba-e-ishq mein tasir bhi ho sakti hai
jazba-e-ishq meñ tāsīr bhī ho saktī hai
husn ke pānoñ meñ zanjīr bhī ho saktī hai
mujh ko taslīm hai qismat kā likhā bhī lekin
kār-farmā koī tadbīr bhī ho saktī hai
kisī mazlūm kī ik aah ba-andāz-e-junūñ
vaqt ke haath meñ shamshīr bhī ho saktī hai
zauq-e-nazzāra abhī ḳhaam hai apnā 'zamzam'
har nazar hāsil-e-tanvīr bhī ho saktī hai
jazba-e-ishq mein tasir bhi ho sakti hai
husn ke panon mein zanjir bhi ho sakti hai
mujh ko taslim hai qismat ka likha bhi lekin
kar-farma koi tadbir bhi ho sakti hai
kisi mazlum ki ek aah ba-andaz-e-junun
waqt ke hath mein shamshir bhi ho sakti hai
zauq-e-nazzara abhi KHam hai apna 'zamzam'
har nazar hasil-e-tanwir bhi ho sakti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.