jazba-e-ishq-o-wafa mein ek kami baqi rahi
jazba-e-'ishq-o-vafā meñ ik kamī baaqī rahī
har ḳhatā maiñ kar chukā bas ḳhud-kushī baaqī rahī
bevafā kaise kahūñ majbūr kahnā Thiik hai
ham ga.e do samt lekin dostī baaqī rahī
muddatoñ pahle 'atā tum ne kiyā thā jo mujhe
aaj tak āñkhoñ meñ mere vo namī baaqī rahī
jhuuT kahne kā salīqa us ko aaya hī nahīñ
us kī fitrat meñ abhī tak sādgī baaqī rahī
vo sarāpā nuur aaya aur fauran chal diyā
baa'd jaane ke bhī us ke raushnī baaqī rahī
jazba-e-'ishq-o-wafa mein ek kami baqi rahi
har KHata main kar chuka bas KHud-kushi baqi rahi
bewafa kaise kahun majbur kahna Thik hai
hum gae do samt lekin dosti baqi rahi
muddaton pahle 'ata tum ne kiya tha jo mujhe
aaj tak aankhon mein mere wo nami baqi rahi
jhuT kahne ka saliqa us ko aaya hi nahin
us ki fitrat mein abhi tak sadgi baqi rahi
wo sarapa nur aaya aur fauran chal diya
ba'd jaane ke bhi us ke raushni baqi rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.