jazba-e-nakaam ko nakaam hona chahiye
jazba-e-nākām ko nākām honā chāhiye
dushmanoñ kā is qadar ikrām honā chāhiye
merī gardan bhī tanī rahtī hai nāhaq ke ḳhilāf
mere sar par bhī koī in'ām honā chāhiye
aaj mere dard kā tezāb us ne chakh liyā
aaj to zaḳhmo tumheñ ārām honā chāhiye
ik munāfiq aaj mujh par khul ke zāhir ho gayā
shahr-bhar meñ aaj jashn-e-'ām honā chāhiye
apne mustaqbil kī āñkhoñ meñ na ham hargiz likheñ
naam hone ke liye badnām honā chāhiye
qurrā-e-dil hī samajh sakte haiñ bas tajvīd-e-dil
kab kahāñ mufrad kahāñ idġhām honā chāhiye
qais honā chāhiye 'ishq-e-haqīqī meñ 'sa'ūd'
'ishq meñ insān ko ghanshyām honā chāhiye
jazba-e-nakaam ko nakaam hona chahiye
dushmanon ka is qadar ikram hona chahiye
meri gardan bhi tani rahti hai nahaq ke KHilaf
mere sar par bhi koi in'am hona chahiye
aaj mere dard ka tezab us ne chakh liya
aaj to zaKHmo tumhein aaram hona chahiye
ek munafiq aaj mujh par khul ke zahir ho gaya
shahr-bhar mein aaj jashn-e-'am hona chahiye
apne mustaqbil ki aankhon mein na hum hargiz likhen
nam hone ke liye badnam hona chahiye
qurra-e-dil hi samajh sakte hain bas tajwid-e-dil
kab kahan mufrad kahan idgham hona chahiye
qais hona chahiye 'ishq-e-haqiqi mein 'sa'ud'
'ishq mein insan ko ghanshyam hona chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.