jazba-e-shauq baDhata hai juda ho jaana
jazba-e-shauq baDhata hai juda ho jaana
Chandar Bhan Kaifi Dehelvi
MORE BYChandar Bhan Kaifi Dehelvi
jazba-e-shauq baḌhātā hai judā ho jaanā
uuprī dil se zarā mujh se ḳhafā ho jaanā
qaus sajde meñ jhukī rah ga.ī jab se dekhā
un kī añgḌā.ī kā mehrāb-numā ho jaanā
dam kā kyā Thiik hai dam-bhar meñ hai dam-bhar meñ nahīñ
chalte phirte mirī bālīñ pe zarā ho jaanā
mausam-e-gul meñ unheñ ġhair idhar le aa.e
kaam aaya mire zaḳhmoñ kā harā ho jaanā
band hai 'ishq ke bandoñ ke liye āzādī
qaid hai qaid-e-mohabbat se rihā ho jaanā
un ke tevar bhī zarā dekhte rahnā qāsid
ḳhat ke purze jo nazar aa.eñ havā ho jaanā
khel hai hastī-e-fānī kā digar-gūñ ho kar
nuur meñ nuur fazāoñ meñ fazā ho jaanā
kuchh to ai rahmat-e-sāqī rahe 'kaifī' kā ḳhayāl
aa ke maiḳhāne pe chhānā to ghaTā ho jaanā
jazba-e-shauq baDhata hai juda ho jaana
upri dil se zara mujh se KHafa ho jaana
qaus sajde mein jhuki rah gai jab se dekha
un ki angDai ka mehrab-numa ho jaana
dam ka kya Thik hai dam-bhar mein hai dam-bhar mein nahin
chalte phirte meri baalin pe zara ho jaana
mausam-e-gul mein unhen ghair idhar le aae
kaam aaya mere zaKHmon ka hara ho jaana
band hai 'ishq ke bandon ke liye aazadi
qaid hai qaid-e-mohabbat se riha ho jaana
un ke tewar bhi zara dekhte rahna qasid
KHat ke purze jo nazar aaen hawa ho jaana
khel hai hasti-e-fani ka digar-gun ho kar
nur mein nur fazaon mein faza ho jaana
kuchh to ai rahmat-e-saqi rahe 'kaifi' ka KHayal
aa ke maiKHane pe chhana to ghaTa ho jaana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.