jazba-e-shauq jagaya to bura man gae
jazba-e-shauq jagāyā to burā maan ga.e
dil ne ik phuul khilāyā to burā maan ga.e
ahl-e-gulzār ne gulzār ko pāmāl kiyā
āshiyāñ ham ne jalāyā to burā maan ga.e
sham-e-umīd musībat meñ jalā kar ham ne
zulmat-e-ġham ko miTāyā to burā maan ga.e
apnī mahfil ko to hañs hañs ke sajāyā tum ne
ham ne kāshāna sajāyā to burā maan ga.e
log aate rahe jaate rahe mahfil meñ tirī
ham ne dushman ko haTāyā to burā maan ga.e
aap phūloñ ko bhī pāmāl kiyā karte the
ham ne kāñToñ ko haTāyā to burā maan ga.e
ab huā ilm ki vo ġhair samajhte the hameñ
un ko apnā jo banāyā to burā maan ga.e
sab kī fariyād sunī tum ne baḌe ġhaur ke saath
maiñ ne bhī haal sunāyā to burā maan ga.e
ishq kī raah meñ duniyā thī ravāñ ai 'shabbīr'
ik qadam ham ne uThāyā to burā maan ga.e
jazba-e-shauq jagaya to bura man gae
dil ne ek phul khilaya to bura man gae
ahl-e-gulzar ne gulzar ko pamal kiya
aashiyan hum ne jalaya to bura man gae
sham-e-umid musibat mein jala kar hum ne
zulmat-e-gham ko miTaya to bura man gae
apni mahfil ko to hans hans ke sajaya tum ne
hum ne kashana sajaya to bura man gae
log aate rahe jate rahe mahfil mein teri
hum ne dushman ko haTaya to bura man gae
aap phulon ko bhi pamal kiya karte the
hum ne kanTon ko haTaya to bura man gae
ab hua ilm ki wo ghair samajhte the hamein
un ko apna jo banaya to bura man gae
sab ki fariyaad suni tum ne baDe ghaur ke sath
main ne bhi haal sunaya to bura man gae
ishq ki rah mein duniya thi rawan ai 'shabbir'
ek qadam hum ne uThaya to bura man gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.