jazba-e-shauq ka izhaar kahan hota hai
jazba-e-shauq kā iz.hār kahāñ hotā hai
yaañ haqīqat pe bhī ḳhvāboñ kā gumāñ hotā hai
ahd-e-tiflī meñ jise ziist kā hāsil jaanā
vaqt kā ab unhī bātoñ meñ ziyāñ hotā hai
tum hī aaoge mirī ruuh meñ ḳhushbū ban kar
ye tasavvur bhī ajab rāhat-e-jāñ hotā hai
raat palkoñ pe sajātā huuñ vafāoñ ke charāġh
din nikalne pe ye andāz kahāñ hotā hai
ishq-e-shorīda ko ashkoñ se tamāshā na banā
aag par paanī ke paḌne se dhuāñ hotā hai
merā mahbūb hai kyā pūchhne vaale ab pūchh
haañ ye 'manzar' bhī shab-o-roz vahāñ hotā hai
jazba-e-shauq ka izhaar kahan hota hai
yan haqiqat pe bhi KHwabon ka guman hota hai
ahd-e-tifli mein jise zist ka hasil jaana
waqt ka ab unhi baaton mein ziyan hota hai
tum hi aaoge meri ruh mein KHushbu ban kar
ye tasawwur bhi ajab rahat-e-jaan hota hai
raat palkon pe sajata hun wafaon ke charagh
din nikalne pe ye andaz kahan hota hai
ishq-e-shorida ko ashkon se tamasha na bana
aag par pani ke paDne se dhuan hota hai
mera mahbub hai kya puchhne wale ab puchh
han ye 'manzar' bhi shab-o-roz wahan hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.