jazba-e-shauq ko bedar karun ya na karun
jazba-e-shauq ko bedar karun ya na karun
Mohammad Shafi Sitapuri
MORE BYMohammad Shafi Sitapuri
jazba-e-shauq ko bedār karūñ yā na karūñ
tū batā de maiñ tujhe pyaar karūñ yā na karūñ
hasratoñ ko gul-o-gulzār karūñ yā na karūñ
tere jalvoñ kā maiñ dīdār karūñ yā na karūñ
maiñ jalā.ūñ na jalā.ūñ tirī yādoñ ke charāġh
dil kī bastī ko pur-anvār karūñ yā na karūñ
jis kī shiddat se taḌapne meñ mazā aatā hai
dil ko us dard se do-chār karūñ yā na karūñ
mere dil tū hī batā soch samajh kar mujh ko
apnī chāhat kā maiñ iz.hār karūñ yā na karūñ
jazba-e-shauq ko bedar karun ya na karun
tu bata de main tujhe pyar karun ya na karun
hasraton ko gul-o-gulzar karun ya na karun
tere jalwon ka main didar karun ya na karun
main jalaun na jalaun teri yaadon ke charagh
dil ki basti ko pur-anwar karun ya na karun
jis ki shiddat se taDapne mein maza aata hai
dil ko us dard se do-chaar karun ya na karun
mere dil tu hi bata soch samajh kar mujh ko
apni chahat ka main izhaar karun ya na karun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.