jazba-e-shauq mera kuchh to baDhate jate
jazba-e-shauq mirā kuchh to baḌhāte jaate
chand bāteñ hī dilāse kī sunāte jaate
taqviyat kuchh to mohabbat ko mirī mil jaatī
kuchh to chāhat-bharā andāz dikhāte jaate
maiñ bhī hoñToñ pe yahāñ pyaas liye baiThā huuñ
koī paimāna mohabbat kā baḌhāte jaate
lazzat-e-ishq kā ehsās tumheñ bhī hotā
karb-e-tanhā.ī meñ jab ashk bahāte jaate
ġham kī tārīkī se chhuTkāre kī sūrat bantī
shādmānī kā diyā dil meñ jalāte jaate
maiñ akelā hī nahīñ aur bhī haiñ merī tarah
us ke kūche meñ nazar ā.eñge āte-jāte
bach ga.e ishq ke āzār se 'ajmal' varna
tum lahū dil kā shab-e-vasl jalāte jaate
jazba-e-shauq mera kuchh to baDhate jate
chand baaten hi dilase ki sunate jate
taqwiyat kuchh to mohabbat ko meri mil jati
kuchh to chahat-bhara andaz dikhate jate
main bhi honTon pe yahan pyas liye baiTha hun
koi paimana mohabbat ka baDhate jate
lazzat-e-ishq ka ehsas tumhein bhi hota
karb-e-tanhai mein jab ashk bahate jate
gham ki tariki se chhuTkare ki surat banti
shadmani ka diya dil mein jalate jate
main akela hi nahin aur bhi hain meri tarah
us ke kuche mein nazar aaenge aate-jate
bach gae ishq ke aazar se 'ajmal' warna
tum lahu dil ka shab-e-wasl jalate jate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.