jazbaat-e-dil kabhi jo raqam kar diye gae
jazbāt-e-dil kabhī jo raqam kar diye ga.e
ahl-e-qalam ke haath qalam kar diye ga.e
ik roz ham bhī hoñge farāmosh jis tarah
pahle musāfirān-e-‘adam kar diye ga.e
yuuñ ehtimām-e-jashn-e-bahārāñ kiyā gayā
dāman guloñ ke ashkoñ se nam kar diye ga.e
vābastgān-e-dair-o-haram dekhte rahe
aur gul charāġh-e-dair-o-haram kar diye ga.e
majbūr tark-e-rasm-e-mohabbat ke vāste
tum kar diye ga.e kabhī ham kar diye ga.e
ai inqilāb khol de parcham ki sar-nigūñ
aglī sharāfatoñ ke 'alam kar diye ga.e
muñh meñ zabān rakhte hue be-zabān haiñ
ḳhāmosh kaise Dhang se ham kar diye ga.e
afsos jo tumhāre karam ke the mustahiq
un par hī ḳhatm saare sitam kar diye ga.e
tan se judā to ho ga.e lekin uThe nahīñ
sar is tarah bhī sajdoñ meñ ḳham kar diye ga.e
baaqī the apne paas jo qatrāt-e-ḳhūn-e-dil
vo sab supurd-e-nok-e-qalam kar diye ga.e
ab ḳhatm ho chukā haq-o-bātil kā imtiyāz
donoñ kuchh is tarah se baham kar diye ga.e
har āstāñ ko jin kī rahī justujū vo sar
ik āstān-e-nāz pe ḳham kar diye ga.e
had hai sitam-nasīboñ ko ye bhī ḳhabar nahīñ
kyā jurm thā jo vaqf-e-sitam kar diye ga.e
'rāhī' masarratoñ ke safīnoñ ko kyā huā
shāyad vo ġharq-e-bahr-e-alam kar diye ga.e
jazbaat-e-dil kabhi jo raqam kar diye gae
ahl-e-qalam ke hath qalam kar diye gae
ek roz hum bhi honge faramosh jis tarah
pahle musafiran-e-‘adam kar diye gae
yun ehtimam-e-jashn-e-bahaaran kiya gaya
daman gulon ke ashkon se nam kar diye gae
wabastgan-e-dair-o-haram dekhte rahe
aur gul charagh-e-dair-o-haram kar diye gae
majbur tark-e-rasm-e-mohabbat ke waste
tum kar diye gae kabhi hum kar diye gae
ai inqilab khol de parcham ki sar-nigun
agli sharafaton ke 'alam kar diye gae
munh mein zaban rakhte hue be-zaban hain
KHamosh kaise Dhang se hum kar diye gae
afsos jo tumhaare karam ke the mustahiq
un par hi KHatm sare sitam kar diye gae
tan se juda to ho gae lekin uThe nahin
sar is tarah bhi sajdon mein KHam kar diye gae
baqi the apne pas jo qatraat-e-KHun-e-dil
wo sab supurd-e-nok-e-qalam kar diye gae
ab KHatm ho chuka haq-o-baatil ka imtiyaz
donon kuchh is tarah se baham kar diye gae
har aastan ko jin ki rahi justuju wo sar
ek aastan-e-naz pe KHam kar diye gae
had hai sitam-nasibon ko ye bhi KHabar nahin
kya jurm tha jo waqf-e-sitam kar diye gae
'rahi' masarraton ke safinon ko kya hua
shayad wo gharq-e-bahr-e-alam kar diye gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.