Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jazbaat ke sholon ko daba kyon nahin lete

Sabir Naseerabadi

jazbaat ke sholon ko daba kyon nahin lete

Sabir Naseerabadi

MORE BYSabir Naseerabadi

    jazbāt ke sho'loñ ko dabā kyoñ nahīñ lete

    rusvā.iyoñ se ḳhud ko bachā kyoñ nahīñ lete

    iflās agar bār-e-garāñ hai to ‘azīzo

    ye bojh bhī mil-jul ke uThā kyoñ nahīñ lete

    kab tak raheñge pyāse zamāne ke ye maikash

    saaqī ko salīqe se manā kyoñ nahīñ lete

    sūkhe hue jismoñ lahū chūsne vaale

    pyaas apne jismoñ se bujhā kyoñ nahīñ lete

    bikhre hue gulshan shikāyat hai sabhī ko

    gulshan nayā mil ke banā kyoñ nahīñ lete

    nikle haiñ zamāne ke añdheroñ ko miTāne

    vo dil ke añdheroñ ko miTā kyoñ nahīñ lete

    ahbāb 'ajab log haiñ jo aap ko 'sābir'

    apnā to samajhte haiñ banā kyoñ nahīñ lete

    jazbaat ke sho'lon ko daba kyon nahin lete

    ruswaiyon se KHud ko bacha kyon nahin lete

    iflas agar bar-e-garan hai to ‘azizo

    ye bojh bhi mil-jul ke uTha kyon nahin lete

    kab tak rahenge pyase zamane ke ye maikash

    saqi ko saliqe se mana kyon nahin lete

    sukhe hue jismon ka lahu chusne wale

    pyas apne hi jismon se bujha kyon nahin lete

    bikhre hue gulshan ki shikayat hai sabhi ko

    gulshan hi naya mil ke bana kyon nahin lete

    nikle hain zamane ke andheron ko miTane

    wo dil ke andheron ko miTa kyon nahin lete

    ahbab 'ajab log hain jo aap ko 'sabir'

    apna to samajhte hain bana kyon nahin lete

    Source :
    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now