jazbaat mein Dubi hui ye raat hai kuchh aur
jazbāt meñ Duubī huī ye raat hai kuchh aur
be-tāb nigāhoñ kī mulāqāt hai kuchh aur
dīvānoñ ke sar par hai tirā reshmī saaya
ai zulf-e-siyah-fām tirī baat hai kuchh aur
tū mai se bharā jaam baḌhātā hai sabhī ko
saaqī tirā andāz-e-musāvāt hai kuchh aur
har uzv-e-badan se vo kiran phuuT rahī hai
sharmā.e qamar bhī ki tirī zaat hai kuchh aur
pardes tujhe chhoḌ ke jaatā na kabhī maiñ
ai jān-e-vafā sūrat-e-hālāt hai kuchh aur
khulte haiñ yahāñ raaz abad aur azal ke
nazroñ meñ mirī bazm-e-ḳhurāfāt hai kuchh aur
maanā ki sar-e-bazm vo karte haiñ taġhāful
chehre pe magar shoḳhi-e-jazbāt hai kuchh aur
bas harf-e-duā kahte haiñ hotī nahīñ maqbūl
jo qalb se nikle vo munājāt hai kuchh aur
rakkhūñgā salīqe se nihāñ-ḳhāna-e-dil meñ
mere liye zaḳhmoñ kī ye sauġhāt hai kuchh aur
sāvan ko bhī dekhā hai baraste hue ai 'shād'
āñkhoñ se jo hotī hai vo barsāt hai kuchh aur
jazbaat mein Dubi hui ye raat hai kuchh aur
be-tab nigahon ki mulaqat hai kuchh aur
diwanon ke sar par hai tera reshmi saya
ai zulf-e-siyah-fam teri baat hai kuchh aur
tu mai se bhara jam baDhata hai sabhi ko
saqi tera andaz-e-musawat hai kuchh aur
har uzw-e-badan se wo kiran phuT rahi hai
sharmae qamar bhi ki teri zat hai kuchh aur
pardes tujhe chhoD ke jata na kabhi main
ai jaan-e-wafa surat-e-haalat hai kuchh aur
khulte hain yahan raaz abad aur azal ke
nazron mein meri bazm-e-KHurafat hai kuchh aur
mana ki sar-e-bazm wo karte hain taghaful
chehre pe magar shoKHi-e-jazbaat hai kuchh aur
bas harf-e-dua kahte hain hoti nahin maqbul
jo qalb se nikle wo munajat hai kuchh aur
rakkhunga saliqe se nihan-KHana-e-dil mein
mere liye zaKHmon ki ye saughat hai kuchh aur
sawan ko bhi dekha hai baraste hue ai 'shad'
aankhon se jo hoti hai wo barsat hai kuchh aur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.