jazbon ki har ek kali andhi nikli
jazboñ kī har ek kalī andhī niklī
aur mohabbat us se bhī paglī niklī
maiñ bhī toḌ nahīñ paa.ī jhūTī rasmeñ
maiñ bhī bas ik ma.amūlī laḌkī niklī
tum mujh se nafrat kaise kar pāoge
maiñ to apne jhuuT meñ bhī sachchī niklī
vo ghar jo ujlā ujlā sā lagtā thā
jhāḌā poñchhā to kitnī miTTī niklī
sochā thā us se har baat chhupā.ūñgī
maiñ bhī va.adoñ kī kitnī kachchī niklī
jo apne hāthoñ se phaaḌ ke pheñkī thī
dil meñ ik tasvīr vahī rakkhī niklī
jazbon ki har ek kali andhi nikli
aur mohabbat us se bhi pagli nikli
main bhi toD nahin pai jhuTi rasmen
main bhi bas ek mamuli laDki nikli
tum mujh se nafrat kaise kar paoge
main to apne jhuT mein bhi sachchi nikli
wo ghar jo ujla ujla sa lagta tha
jhaDa ponchha to kitni miTTi nikli
socha tha us se har baat chhupaungi
main bhi wadon ki kitni kachchi nikli
jo apne hathon se phaD ke phenki thi
dil mein ek taswir wahi rakkhi nikli
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.