jazbon ki qadr-o-qimat waisi nahin rahi
jazboñ kī qadr-o-qīmat vaisī nahīñ rahī
phir yuuñ huā mohabbat sachchī nahīñ rahī
maiñ bhī to zindagī se uktā gayā bahut
us kī bhī ab tamannā koī nahīñ rahī
mujh ko sila vafā kā milnā to thā yahī
ab soch jo tumhārī kachchī nahīñ rahī
andāz-e-guftugū bhī lahje badal ga.e
koī zabāñ kahīñ ab mīThī nahīñ rahī
nazroñ se apnī ham ne ḳhud ko girā diyā
itnā ki shaan apnī ūñchī nahīñ rahī
phir ye ki ham 'mubārak' anjān ho ga.e
pahchān bhī hamārī apnī nahīñ rahī
jazbon ki qadr-o-qimat waisi nahin rahi
phir yun hua mohabbat sachchi nahin rahi
main bhi to zindagi se ukta gaya bahut
us ki bhi ab tamanna koi nahin rahi
mujh ko sila wafa ka milna to tha yahi
ab soch jo tumhaari kachchi nahin rahi
andaz-e-guftugu bhi lahje badal gae
koi zaban kahin ab miThi nahin rahi
nazron se apni hum ne KHud ko gira diya
itna ki shan apni unchi nahin rahi
phir ye ki hum 'mubarak' anjaan ho gae
pahchan bhi hamari apni nahin rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.