jehd-e-paiham ke hasin KHabt ko sar mein rakhna
jehd-e-paiham ke hasīñ ḳhabt ko sar meñ rakhnā
paañv thak jaa.eñ to sochoñ ko safar meñ rakhnā
rafta rafta vahī ban jaatā hai ghar kā mālik
kār-e-dushvār hai mehmān ko ghar meñ rakhnā
maiñ ḳhatā-kār ḳhatā hai mirī pahchān magar
vasf-e-insāñ hai farishtoñ ko nazar meñ rakhnā
azm-e-manzil na kahīñ bojh tale dab jaa.e
zād-e-rah hasb-e-zarūrat hī safar meñ rakhnā
bujhte bujhte jo sunā jaa.e kahānī shab kī
aisā anjum koī āġhosh-e-sahar meñ rakhnā
pakne se pahle samar koī zamīñ-bos na ho
aisā andāz-e-numū tuḳhm-e-shajar meñ rakhnā
jān-levā hai jo shāḳhoñ pe musallat hai sukūt
hausla ḳhaar kā phūloñ ke nagar meñ rakhnā
jehd-e-paiham ke hasin KHabt ko sar mein rakhna
panw thak jaen to sochon ko safar mein rakhna
rafta rafta wahi ban jata hai ghar ka malik
kar-e-dushwar hai mehman ko ghar mein rakhna
main KHata-kar KHata hai meri pahchan magar
wasf-e-insan hai farishton ko nazar mein rakhna
azm-e-manzil na kahin bojh tale dab jae
zad-e-rah hasb-e-zarurat hi safar mein rakhna
bujhte bujhte jo suna jae kahani shab ki
aisa anjum koi aaghosh-e-sahar mein rakhna
pakne se pahle samar koi zamin-bos na ho
aisa andaz-e-numu tuKHm-e-shajar mein rakhna
jaan-lewa hai jo shaKHon pe musallat hai sukut
hausla KHar ka phulon ke nagar mein rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.