jhank kar aankhon mein uski aaj phir sanwra hun main
jhāñk kar āñkhoñ meñ us kī aaj phir sañvrā huuñ maiñ
ā.inoñ sā hī musalsal us ko ab paḌhtā huuñ maiñ
pyaar kā amrit to maiñ ne pī liyā hai is qadar
maar kar tū aazmā le ab kahāñ martā huuñ maiñ
boltā rahtā to huuñ Dartā huuñ kyā Dartā huuñ kyā
sach kahūñ duniyā se terī ab bahut Dartā huuñ maiñ
maiñ samundar huuñ mirā apnā Thikānā hai koī
rāstoñ ke vāste to sirf ik dariyā huuñ maiñ
kuchh safar aise bhī jin meñ rahguzar bhī gum sī haiñ
aap bhī rakhte hī chaliye kuchh nishāñ rakhtā huuñ maiñ
jhank kar aankhon mein us ki aaj phir sanwra hun main
aainon sa hi musalsal us ko ab paDhta hun main
pyar ka amrit to main ne pi liya hai is qadar
mar kar tu aazma le ab kahan marta hun main
bolta rahta to hun Darta hun kya Darta hun kya
sach kahun duniya se teri ab bahut Darta hun main
main samundar hun mera apna Thikana hai koi
raston ke waste to sirf ek dariya hun main
kuchh safar aise bhi jin mein rahguzar bhi gum si hain
aap bhi rakhte hi chaliye kuchh nishan rakhta hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.