jhagDe raha kiye dil-e-shorida-sar ke sath
jhagDe raha kiye dil-e-shorida-sar ke sath
Riyaz Hasan Khan Khayal
MORE BYRiyaz Hasan Khan Khayal
jhagḌe rahā kiye dil-e-shorīda-sar ke saath
dushvār ho gayā safar us ham-safar ke saath
nekī badī hai roz-e-azal se bashar ke saath
insān kā ḳhamīr banā ḳhair-o-shar ke saath
dil kī bhī ḳhair maañg rahā huuñ jigar kī bhī
donoñ kī taak meñ haiñ vo tirchhī nazar ke saath
hir-phir ke kyoñ na aa.e mire dil meñ us kī naaz
hotā hai uns sab ko zarūr apne ghar ke saath
ai sail-e-ashk ḳhāna-e-dushman bhī paas hai
kyoñ tujh ko buġhz hai mirī dīvār-o-dar ke saath
chaurang kāTtī hai vo teġh-e-nigāh-e-nāz
armānoñ kā bhī ḳhuun huā dil jigar ke saath
kal jis galī meñ kho chuke dil phir vahīñ chale
dil-bastagī kuchh aisī hai us rahguzar ke saath
hamrāh-e-ḳhizr jā ke sikandar ko kyā milā
qismat hai har bashar kī judā har bashar ke saath
jab tak ye dil hai dil se na jā.egā terā ishq
jab tak ye sar hai zulfoñ kā saudā hai sar ke saath
fard-e-gunah ko dho.eñge ye ashk-e-infi.āl
vābasta hai umiid mirī chashm-e-tar ke saath
kyā ḳhvāb meñ vo kākul-e-mushkīñ bikhar ga.iiñ
aa.ī jo bū-e-mushk nasīm-e-sahar ke saath
hamrāh vo raqīboñ ke niklā hai sair ko
sau fitne ham-rikāb haiñ us fitna-gar ke saath
kyā jaane le chalā hai hameñ josh-e-be-ḳhudī
rahzan ke saath jaate haiñ yā rāhbar ke saath
kyā mujh ko us ke va.ada-e-mashrūt kī ḳhushī
ahd-e-vafā kiyā hai magar aur agar ke saath
dhokā hai āqibat kā ba-qaul-e-sabā 'ḳhayāl'
anjām ho ba-ḳhair ki shar hai bashar ke saath
jhagDe raha kiye dil-e-shorida-sar ke sath
dushwar ho gaya safar us ham-safar ke sath
neki badi hai roz-e-azal se bashar ke sath
insan ka KHamir bana KHair-o-shar ke sath
dil ki bhi KHair mang raha hun jigar ki bhi
donon ki tak mein hain wo tirchhi nazar ke sath
hir-phir ke kyon na aae mere dil mein us ki naz
hota hai uns sab ko zarur apne ghar ke sath
ai sail-e-ashk KHana-e-dushman bhi pas hai
kyon tujh ko bughz hai meri diwar-o-dar ke sath
chaurang kaTti hai wo tegh-e-nigah-e-naz
armanon ka bhi KHun hua dil jigar ke sath
kal jis gali mein kho chuke dil phir wahin chale
dil-bastagi kuchh aisi hai us rahguzar ke sath
hamrah-e-KHizr ja ke sikandar ko kya mila
qismat hai har bashar ki juda har bashar ke sath
jab tak ye dil hai dil se na jaega tera ishq
jab tak ye sar hai zulfon ka sauda hai sar ke sath
fard-e-gunah ko dhoenge ye ashk-e-infial
wabasta hai umid meri chashm-e-tar ke sath
kya KHwab mein wo kakul-e-mushkin bikhar gain
aai jo bu-e-mushk nasim-e-sahar ke sath
hamrah wo raqibon ke nikla hai sair ko
sau fitne ham-rikab hain us fitna-gar ke sath
kya jaane le chala hai hamein josh-e-be-KHudi
rahzan ke sath jate hain ya rahbar ke sath
kya mujh ko us ke wada-e-mashrut ki KHushi
ahd-e-wafa kiya hai magar aur agar ke sath
dhoka hai aaqibat ka ba-qaul-e-saba 'KHayal'
anjam ho ba-KHair ki shar hai bashar ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.