jhagDon ka qatl-o-KHun ka haibat ka silsila
jhagDon ka qatl-o-KHun ka haibat ka silsila
Azimuddin Sahil Kalamnoori
MORE BYAzimuddin Sahil Kalamnoori
jhagḌoñ kā qatl-o-ḳhūn kā haibat kā silsila
ab ḳhatm honā chāhiye nafrat kā silsila
qātil ke chhūT jaane kī ummīd baḌh ga.ī
barsoñ se chal rahā hai samā.at kā silsila
khetoñ ke baad bik gayā āḳhir makān bhī
ab ḳhatm ho chukā hai virāsat kā silsila
rah rah ke hil rahī hai zamīñ kyā huā use
jaarī na ho gayā ho qayāmat kā silsila
gustāḳh bad-zabānoñ ko jaḌ se ukhāḌ do
hogā zarūr ḳhatm ihānat kā silsila
mausam bahut qarīb hai 'sāhil' chunāv kā
yūñhī nahīñ hai ham pe ināyat kā silsila
jhagDon ka qatl-o-KHun ka haibat ka silsila
ab KHatm hona chahiye nafrat ka silsila
qatil ke chhuT jaane ki ummid baDh gai
barson se chal raha hai samaat ka silsila
kheton ke baad bik gaya aaKHir makan bhi
ab KHatm ho chuka hai wirasat ka silsila
rah rah ke hil rahi hai zamin kya hua use
jari na ho gaya ho qayamat ka silsila
gustaKH bad-zabanon ko jaD se ukhaD do
hoga zarur KHatm ihanat ka silsila
mausam bahut qarib hai 'sahil' chunaw ka
yunhi nahin hai hum pe inayat ka silsila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.