jhalak bhi mil na pai zindagi ki
jhalak bhī mil na paa.ī zindagī kī
use jaldī paḌī thī vāpsī kī
bachāo apnī jaltī bastiyoñ ko
bahut tā'rīf kar lī raushnī kī
ḳhudāoñ se bhī gahrī chhan rahī hai
mire jaise fasādī aadmī kī
vo bole hañste-hañste marte jaao
'ajab ye shart hai zinda-dilī kī
añdheroñ ne bhī chamkāyā na ham ko
charāġhoñ ne bhī ham se dil-lagī kī
luTāte ho jo itnā pyaar mujh par
tumheñ pahchān bhī hai aadmī kī
kabhī fursat mile to baat karnā
zarūrat hai zarā sī zindagī kī
kahīñ ye tanz to mujh par nahīñ hai
qasam khāte ho har dam 'āshiqī kī
na.ī masrūfiyat paidā kare kaun
kise fursat hai banda-parvarī kī
jhalak bhi mil na pai zindagi ki
use jaldi paDi thi wapsi ki
bachao apni jalti bastiyon ko
bahut ta'rif kar li raushni ki
KHudaon se bhi gahri chhan rahi hai
mere jaise fasadi aadmi ki
wo bole hanste-hanste marte jao
'ajab ye shart hai zinda-dili ki
andheron ne bhi chamkaya na hum ko
charaghon ne bhi hum se dil-lagi ki
luTate ho jo itna pyar mujh par
tumhein pahchan bhi hai aadmi ki
kabhi fursat mile to baat karna
zarurat hai zara si zindagi ki
kahin ye tanz to mujh par nahin hai
qasam khate ho har dam 'ashiqi ki
nai masrufiyat paida kare kaun
kise fursat hai banda-parwari ki
- Book : Aakhiri Ishq Sabse Pahle Kiya (Pg. 66)
- Author : Nomaan Shauque
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.