jhankar ka rishta to hai zanjir se sain
jhankār kā rishta to hai zanjīr se sā.īñ
kyoñ log pareshāñ hue ta.abīr se sā.īñ
kuchh log abhī shahr meñ aise bhī haiñ ḳhush-posh
jo aag lagā dete haiñ taqrīr se sā.īñ
haq bolne kā hausla ab ham meñ nahīñ hai
nisbat to nikaltī rahī shabbīr se sā.īñ
tadbīr pe mauqūf hai duniyā kī hukūmat
ham log ulajhte rahe taqdīr se sā.īñ
rahne do abhī ā.ina-ḳhāne meñ koī aks
kuchh dil to bahal jaatā hai tasvīr se sā.īñ
pahle hī bahut der huī aane meñ un ke
ab jaan nikal jā.egī tāḳhīr se sā.īñ
tadbīr kuchh aisī karo ulfat ke nigahbāñ
bichhḌe na koī rāñjhā kisī hiir se sā.īñ
jhankar ka rishta to hai zanjir se sain
kyon log pareshan hue tabir se sain
kuchh log abhi shahr mein aise bhi hain KHush-posh
jo aag laga dete hain taqrir se sain
haq bolne ka hausla ab hum mein nahin hai
nisbat to nikalti rahi shabbir se sain
tadbir pe mauquf hai duniya ki hukumat
hum log ulajhte rahe taqdir se sain
rahne do abhi aaina-KHane mein koi aks
kuchh dil to bahal jata hai taswir se sain
pahle hi bahut der hui aane mein un ke
ab jaan nikal jaegi taKHir se sain
tadbir kuchh aisi karo ulfat ke nigahban
bichhDe na koi ranjha kisi hir se sain
- Book : مرے تصور میں رنگ بھردو (Pg. 59)
- Author : بسمل عارفی
- Publication : نور پبلی کیشن، دریا گنج،نئی دہلی (2019)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.