jhel kar dukh mujhe jine ka qarina aaya
jhel kar dukh mujhe jiine kā qarīna aaya
na jabīñ par shikan ubhrī na pasīna aaya
kitne alfāz-o-tarākīb tarāshe maiñ ne
guftugū kā na salīqa na qarīna aaya
muddatoñ maiñ ne kiyā hai dil-e-sad-chāk rafū
tab kahīñ jā ke mujhe zaḳhm kā siina aaya
mujh ko honā paḌā mamnūn-e-karam maujoñ kā
kitnī mushkil se kināre pe safīna aaya
maiñ ne shikva na kiyā terī jafāoñ kā kabhī
saaf dil thā ki mire dil meñ na kiina aaya
phir na.e saal kī aamad pe qasīda likhkhūñ
ḳhatm hone ko december kā mahīna aaya
maiñ ne vo rāz-e-haqīqat kabhī ifshā na kiyā
jo mire paas 'asar' sīna-ba-sīna aaya
jhel kar dukh mujhe jine ka qarina aaya
na jabin par shikan ubhri na pasina aaya
kitne alfaz-o-tarakib tarashe main ne
guftugu ka na saliqa na qarina aaya
muddaton main ne kiya hai dil-e-sad-chaak rafu
tab kahin ja ke mujhe zaKHm ka sina aaya
mujh ko hona paDa mamnun-e-karam maujon ka
kitni mushkil se kinare pe safina aaya
main ne shikwa na kiya teri jafaon ka kabhi
saf dil tha ki mere dil mein na kina aaya
phir nae sal ki aamad pe qasida likhkhun
KHatm hone ko december ka mahina aaya
main ne wo raaz-e-haqiqat kabhi ifsha na kiya
jo mere pas 'asar' sina-ba-sina aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.