jhiDki nahin dete hain ki ghussa nahin hota
jhiDki nahin dete hain ki ghussa nahin hota
Munshi Shiv Parshad Wahbi
MORE BYMunshi Shiv Parshad Wahbi
jhiḌkī nahīñ dete haiñ ki ġhussa nahīñ hotā
āshiq pe sitam vasl meñ kyā kyā nahīñ hotā
badnām huā karte haiñ go ishq meñ āshiq
par merī tarah koī bhī rusvā nahīñ hotā
juz sharbat-e-dīdār karo laakh davā.eñ
bīmār-e-mohabbat kabhī achchhā nahīñ hotā
ḳhalḳhāl kī āvāz se chauñk uThte haiñ murde
kab hashr tire kūche meñ barpā nahīñ hotā
bād-e-saharī se koī ġhuncha nahīñ khiltā
jab tak ki tirā band-e-qabā vā nahīñ hotā
rahtā hai tasavvur jo ik ā.īna-jabīñ kā
hairat nahīñ hotī hai ki sakta nahīñ hotā
kab yaar ke mizhgāñ kā tasavvur nahīñ 'vahbī'
kab jism mirā suukh ke kāñTā nahīñ hotā
jhiDki nahin dete hain ki ghussa nahin hota
aashiq pe sitam wasl mein kya kya nahin hota
badnam hua karte hain go ishq mein aashiq
par meri tarah koi bhi ruswa nahin hota
juz sharbat-e-didar karo lakh dawaen
bimar-e-mohabbat kabhi achchha nahin hota
KHalKHal ki aawaz se chaunk uThte hain murde
kab hashr tere kuche mein barpa nahin hota
baad-e-sahari se koi ghuncha nahin khilta
jab tak ki tera band-e-qaba wa nahin hota
rahta hai tasawwur jo ek aaina-jabin ka
hairat nahin hoti hai ki sakta nahin hota
kab yar ke mizhgan ka tasawwur nahin 'wahbi'
kab jism mera sukh ke kanTa nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.