jhil si aankh ko dariyaon ka dhaara kar ke
jhiil sī aañkh ko dariyāoñ kā dhārā kar ke
ḳhush hai vo shaḳhs ye nuqsān hamārā kar ke
us ko lagtā hai ki āsāñ hai bichhaḌnā mujh se
kyā vo jī legā mirā hijr gavārā kar ke
aa ki mil baiTh ke jiine kā hunar sīkhte haiñ
zindagī yuuñ na guzar mujh se kinārā kar ke
tum ne jaate hue tohfe meñ mujhe baḳhshā thā
dil meñ rakkhā hai vahī ashk sitārā kar ke
dukh udāsī ye ghuTan aur ye ḳhālī dāman
kyā milā mujh ko tire saath guzārā kar ke
tum ne chhoḌā to kisī samt na dekhā maiñ ne
yūñhī jiitī rahī ḳhud ko maiñ tumhārā kar ke
jhil si aankh ko dariyaon ka dhaara kar ke
KHush hai wo shaKHs ye nuqsan hamara kar ke
us ko lagta hai ki aasan hai bichhaDna mujh se
kya wo ji lega mera hijr gawara kar ke
aa ki mil baiTh ke jine ka hunar sikhte hain
zindagi yun na guzar mujh se kinara kar ke
tum ne jate hue tohfe mein mujhe baKHsha tha
dil mein rakkha hai wahi ashk sitara kar ke
dukh udasi ye ghuTan aur ye KHali daman
kya mila mujh ko tere sath guzara kar ke
tum ne chhoDa to kisi samt na dekha main ne
yunhi jiti rahi KHud ko main tumhaara kar ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.