jhil si gahri aankhon mein aur kab jazbaat ke dariya mein

jhil si gahri aankhon mein aur kab jazbaat ke dariya mein
Zaheer Mushtaq Rana
MORE BYZaheer Mushtaq Rana
jhiil sī gahrī āñkhoñ meñ aur kab jazbāt ke dariyā meñ
ham tairāk to ġharq hue apnī hājāt ke dariyā meñ
ham ne farq sahāre aur kināre meñ bhī rakhnā thā
us par ulTī samt bhī jaanā thā hālāt ke dariyā meñ
bahne vaale ḳhāmoshī se maujoñ ke ruḳh bahtā jā
tairnā kaisā apnī marzī se ḳhairāt ke dariyā meñ
āñkhoñ se vo ojhal hotā chehra aise lagtā thā
sūraj jaise Duub rahā ho kaalī raat ke dariyā meñ
avval avval apnā rasta aap banāte chashmoñ ko
āḳhir ik din girnā paḌtā hai hālāt ke dariyā meñ
jhil si gahri aankhon mein aur kab jazbaat ke dariya mein
hum tairak to gharq hue apni hajat ke dariya mein
hum ne farq sahaare aur kinare mein bhi rakhna tha
us par ulTi samt bhi jaana tha haalat ke dariya mein
bahne wale KHamoshi se maujon ke ruKH bahta ja
tairna kaisa apni marzi se KHairaat ke dariya mein
aankhon se wo ojhal hota chehra aise lagta tha
suraj jaise Dub raha ho kali raat ke dariya mein
awwal awwal apna rasta aap banate chashmon ko
aaKHir ek din girna paDta hai haalat ke dariya mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.