jhijak shoKHi haya waisi ki waisi
jhijak shoḳhī hayā vaisī kī vaisī
hai us kī har adā vaisī kī vaisī
falak se ho ke nā-manzūr apnī
palaT aa.ī duā vaisī kī vaisī
ḳhushī ko bārhā ham ne manāyā
rahī ham se ḳhafā vaisī kī vaisī
vafā kī laakh ham ne zindagī se
rahī ye bevafā vaisī kī vaisī
judā ham ek muddat se haiñ lekin
judā.ī kī sazā vaisī kī vaisī
bikharne par bhī hai mahfūz ab tak
fazā meñ har sadā vaisī kī vaisī
na badlegī kabhī bātoñ se qismat
rahegī dekhnā vaisī kī vaisī
jo āġhāz-e-mohabbat meñ paḌhī thī
ġhazal mutrib sunā vaisī kī vaisī
jo aa.ī kal mirī niyyat badalne
ghirī phir se ghaTā vaisī kī vaisī
javānī ke tamannā.ī javānī
kahāñ se pā.egā vaisī kī vaisī
hamārī kashti-e-dil bahr-e-ġham meñ
phire be-āsrā vaisī kī vaisī
jahāñ se aa.ī hai ai umr-e-fānī
vahīñ par lauT jā vaisī kī vaisī
jhijak shoKHi haya waisi ki waisi
hai us ki har ada waisi ki waisi
falak se ho ke na-manzur apni
palaT aai dua waisi ki waisi
KHushi ko barha hum ne manaya
rahi hum se KHafa waisi ki waisi
wafa ki lakh hum ne zindagi se
rahi ye bewafa waisi ki waisi
juda hum ek muddat se hain lekin
judai ki saza waisi ki waisi
bikharne par bhi hai mahfuz ab tak
faza mein har sada waisi ki waisi
na badlegi kabhi baaton se qismat
rahegi dekhna waisi ki waisi
jo aaghaz-e-mohabbat mein paDhi thi
ghazal mutrib suna waisi ki waisi
jo aai kal meri niyyat badalne
ghiri phir se ghaTa waisi ki waisi
jawani ke tamannai jawani
kahan se paega waisi ki waisi
hamari kashti-e-dil bahr-e-gham mein
phire be-asra waisi ki waisi
jahan se aai hai ai umr-e-fani
wahin par lauT ja waisi ki waisi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.