jhonka hawa ka adh-khuli khiDki tak aa na jae
jhoñkā havā kā adh-khulī khiḌkī tak aa na jaa.e
jiine kā us ko koī salīqa sikhā na jaa.e
kankar se chaknā-chūr hai sayyāl aa.ina
qirtās-e-mauj kā koī likkhā miTā na jaa.e
'uryāñ khaḌī huī ye siyah sī pahāḌ shab
sūraj kī infi.ālī nazar ko jhukā na jaa.e
jab se huī hai merī zabāñ zahr-āshnā
amrit kā ek ghūñT bhī mujh se piyā na jaa.e
gardish meñ āsmān mirā saath de magar
merī hatheliyoñ kī lakīreñ miTā na jaa.e
kal ik 'ajīb vāqi'a guzrā 'shakeb-ayāz'
sochūñ to ḳhud pe ḳhuub hañsūñ aur kahā na jaa.e
jhonka hawa ka adh-khuli khiDki tak aa na jae
jine ka us ko koi saliqa sikha na jae
kankar se chakna-chur hai sayyal aaina
qirtas-e-mauj ka koi likkha miTa na jae
'uryan khaDi hui ye siyah si pahaD shab
suraj ki infiali nazar ko jhuka na jae
jab se hui hai meri zaban zahr-ashna
amrit ka ek ghunT bhi mujh se piya na jae
gardish mein aasman mera sath de magar
meri hatheliyon ki lakiren miTa na jae
kal ek 'ajib waqi'a guzra 'shakeb-ayaz'
sochun to KHud pe KHub hansun aur kaha na jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.