jhonka hun main jo kahan nahin hai
jhoñkā huuñ maiñ jo kahāñ nahīñ hai
har chand kahīñ amaañ nahīñ hai
pairoñ se zamīñ nikal rahī hai
aur haath meñ āsmāñ nahīñ hai
sho.ala hai magar bujhā huā hai
paanī hai magar ravāñ nahīñ hai
tujh par to yaqīn hai sadā se
apnā hī koī gumāñ nahīñ hai
tū ḳhud ko jahāñ samajh rahā hai
sach ye hai ki tū vahāñ nahīñ hai
vo sher bhī zehn meñ haiñ 'shāhid'
kahne ko jinheñ zabāñ nahīñ hai
jhonka hun main jo kahan nahin hai
har chand kahin aman nahin hai
pairon se zamin nikal rahi hai
aur hath mein aasman nahin hai
shoala hai magar bujha hua hai
pani hai magar rawan nahin hai
tujh par to yaqin hai sada se
apna hi koi guman nahin hai
tu KHud ko jahan samajh raha hai
sach ye hai ki tu wahan nahin hai
wo sher bhi zehn mein hain 'shahid'
kahne ko jinhen zaban nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.