jhonka nafas ka mauja-e-sarsar laga mujhe
jhoñkā nafas kā mauja-e-sarsar lagā mujhe
raat aa ga.ī to ḳhud se baḌā Dar lagā mujhe
itnā gudāz hai mirā dil fart-e-dard se
pheñkā kisī ne phuul to patthar lagā mujhe
ḳhud hī ubhar ke Duub gayā apnī zaat meñ
sūraj ik iztirāb kā paikar lagā mujhe
ye shām-e-va.ada hai ki paḌāv hai vaqt kā
ik lamha ik sadī ke barābar lagā mujhe
jaise maiñ terī zaat kā aks-e-jamīl huuñ
yuuñ bhī tire firāq meñ aksar lagā mujhe
is shor meñ muhāl thā terā ḳhayāl bhī
sahrā bhī tere shahr se behtar lagā mujhe
dāman se dho rahā thā maiñ dhabbe gunāh ke
qatra bhī āñsuoñ kā samundar lagā mujhe
taaza havā meñ sukh kā koī saañs le sakūñ
ai rabb-e-kā.ināt zarā par lagā mujhe
jhonka nafas ka mauja-e-sarsar laga mujhe
raat aa gai to KHud se baDa Dar laga mujhe
itna gudaz hai mera dil fart-e-dard se
phenka kisi ne phul to patthar laga mujhe
KHud hi ubhar ke Dub gaya apni zat mein
suraj ek iztirab ka paikar laga mujhe
ye sham-e-wada hai ki paDaw hai waqt ka
ek lamha ek sadi ke barabar laga mujhe
jaise main teri zat ka aks-e-jamil hun
yun bhi tere firaq mein aksar laga mujhe
is shor mein muhaal tha tera KHayal bhi
sahra bhi tere shahr se behtar laga mujhe
daman se dho raha tha main dhabbe gunah ke
qatra bhi aansuon ka samundar laga mujhe
taza hawa mein sukh ka koi sans le sakun
ai rabb-e-kainat zara par laga mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.