jhonke ki tarah umr-e-do-roza guzar gai
jhoñke kī tarah umr-e-do-roza guzar ga.ī
jaane kidhar se aa.ī thī jaane kidhar ga.ī
is tarah dil tak aaj kisī kī nazar ga.ī
dam bhar ThiThak ke umr-e-gurezāñ Thahar ga.ī
afsāna-e-hayāt kī rangīniyāñ na pūchh
itnī hai umr baḌh ga.ī jitnī guzar ga.ī
sau inqalāb muntazir ik barhamī ke the
bikhrī jo un kī zulf to duniyā sañvar ga.ī
ham tolte rahe par-o-bāzū-e-ārzū
itne meñ iltifāt kī saa.at guzar ga.ī
rakkheñ ab ahl-e-hosh qadam phūñk phūñk kar
apnī to jis tarīq pe guzrī guzar ga.ī
bālīñ pe jalva-rez hai husn-e-latīf-e-dost
'fayyāz' aañkh khol namāz-e-sahar ga.ī
jhonke ki tarah umr-e-do-roza guzar gai
jaane kidhar se aai thi jaane kidhar gai
is tarah dil tak aaj kisi ki nazar gai
dam bhar ThiThak ke umr-e-gurezan Thahar gai
afsana-e-hayat ki ranginiyan na puchh
itni hai umr baDh gai jitni guzar gai
sau inqalab muntazir ek barhami ke the
bikhri jo un ki zulf to duniya sanwar gai
hum tolte rahe par-o-bazu-e-arzu
itne mein iltifat ki saat guzar gai
rakkhen ab ahl-e-hosh qadam phunk phunk kar
apni to jis tariq pe guzri guzar gai
baalin pe jalwa-rez hai husn-e-latif-e-dost
'fayyaz' aankh khol namaz-e-sahar gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.