jhuk kar main kya DhunD raha hun miTTi mein
jhuk kar maiñ kyā DhūñD rahā huuñ miTTī meñ
tai karnā kuchh sahl nahīñ hai jaldī meñ
aise log magar duniyā meñ kitne haiñ
chāñd nazar aatā hai jin ko roTī meñ
pahle to sho'loñ se bachāyā bastī ko
phir paanī ne aag lagā dī bastī meñ
zanjīroñ se bach kar chalte rahnā hai
bas itnī sī bandish hai āzādī meñ
pyaar nahīñ to pyaar kī be-mā'nī bāteñ
kuchh to hotā hī hogā ḳhud-ġharzī meñ
jhuk kar main kya DhunD raha hun miTTi mein
tai karna kuchh sahl nahin hai jaldi mein
aise log magar duniya mein kitne hain
chand nazar aata hai jin ko roTi mein
pahle to sho'lon se bachaya basti ko
phir pani ne aag laga di basti mein
zanjiron se bach kar chalte rahna hai
bas itni si bandish hai aazadi mein
pyar nahin to pyar ki be-ma'ni baaten
kuchh to hota hi hoga KHud-gharzi mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.