jhuka jhuka bhi nahin tha khaDa khaDa bhi nahin
jhukā jhukā bhī nahīñ thā khaḌā khaḌā bhī nahīñ
vo aadmī nahīñ 'taslīm' to ḳhudā bhī nahīñ
har ik sadā kā ta.āqub bhī kartā rahtā hai
vo shaḳhs shahr meñ vaise nayā nayā bhī nahīñ
mire ḳhayāl kā darvāza khaTkhaTātā hai
vo ek shaḳhs jo mujh se kabhī milā bhī nahīñ
maiñ tere jism kī chaukhaT pe ruk gayā aakar
mirī nigāh kī taḳhtī pe kuchh likhā bhī nahīñ
maiñ apne aap meñ ik ajnabī jazīra huuñ
kisī ke paañv ke nīche kabhī paḌā bhī nahīñ
zabān apnī lahū apnā tishnagī apnī
kisī ḳhalīq-e-samundar kā aasrā bhī nahīñ
mire vajūd kī jholī meñ Dāltā kyā vo
siyāh raat kī dahlīz pe milā bhī nahīñ
jhuka jhuka bhi nahin tha khaDa khaDa bhi nahin
wo aadmi nahin 'taslim' to KHuda bhi nahin
har ek sada ka taaqub bhi karta rahta hai
wo shaKHs shahr mein waise naya naya bhi nahin
mere KHayal ka darwaza khaTkhaTata hai
wo ek shaKHs jo mujh se kabhi mila bhi nahin
main tere jism ki chaukhaT pe ruk gaya aakar
meri nigah ki taKHti pe kuchh likha bhi nahin
main apne aap mein ek ajnabi jazira hun
kisi ke panw ke niche kabhi paDa bhi nahin
zaban apni lahu apna tishnagi apni
kisi KHaliq-e-samundar ka aasra bhi nahin
mere wajud ki jholi mein Dalta kya wo
siyah raat ki dahliz pe mila bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.