jhuka ke sar na yun daman bachana chahiye tha
jhuka ke sar na yun daman bachana chahiye tha
Hanif Danish Indori
MORE BYHanif Danish Indori
jhukā ke sar na yuuñ dāman bachānā chāhiye thā
anā par aa ga.ī thī sar kaTānā chāhiye thā
huā hamvār dariyā thā shanāvar kā muqaddar
huā vo paar jis ko Duub jaanā chāhiye thā
nasīhat kā tirī ye zāviya kuchh aur hotā
miyāñ nāseh tujhe bhī dil lagānā chāhiye thā
mashaqqat se badalnī thī hathelī ki lakīreñ
muqaddar haath meñ thā āzmānā chāhiye thā
tere sar par jo pagḌī hai mire ajdād kī hai
mirī tāzīm meñ ye sar jhukānā chāhiye thā
dar-e-jānāñ dar-e-jānāñ nazar aatā thā har-sū
jabīñ betāb thī us ko Thikānā chāhiye thā
maiñ ḳhud ko yaad thā merī mohabbat meñ kamī thī
tirī qurbat meñ ḳhud ko bhuul jaanā chāhiye thā
hamesha hī rahī an-ban kisī 'dānish' se us kī
mire jaisā use pāgal dīvāna chāhiye thā
tamāsha thī jo 'dānish' zindagī to dekh letā
jo naġhma thī to us ko gungunānā chāhiye thā
fasāna ban ga.ī thī zindagānī gar jo 'dānish'
use izzat se sunñā thā sunānā chāhiye thā
jhuka ke sar na yun daman bachana chahiye tha
ana par aa gai thi sar kaTana chahiye tha
hua hamwar dariya tha shanawar ka muqaddar
hua wo par jis ko Dub jaana chahiye tha
nasihat ka teri ye zawiya kuchh aur hota
miyan naseh tujhe bhi dil lagana chahiye tha
mashaqqat se badalni thi hatheli ki lakiren
muqaddar hath mein tha aazmana chahiye tha
tere sar par jo pagDi hai mere ajdad ki hai
meri tazim mein ye sar jhukana chahiye tha
dar-e-jaanan dar-e-jaanan nazar aata tha har-su
jabin betab thi us ko Thikana chahiye tha
main KHud ko yaad tha meri mohabbat mein kami thi
teri qurbat mein KHud ko bhul jaana chahiye tha
hamesha hi rahi an-ban kisi 'danish' se us ki
mere jaisa use pagal diwana chahiye tha
tamasha thi jo 'danish' zindagi to dekh leta
jo naghma thi to us ko gungunana chahiye tha
fasana ban gai thi zindagani gar jo 'danish'
use izzat se sunna tha sunana chahiye tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.