jhukna paDta hai wo ghusse se jo tan jate hain
jhukna paDta hai wo ghusse se jo tan jate hain
Mirza Qadir Bakhsh Sabir Dehlavi
MORE BYMirza Qadir Bakhsh Sabir Dehlavi
jhuknā paḌtā hai vo ġhusse se jo tan jaate haiñ
aap ham rūThte haiñ aap hī man jaate haiñ
hoñ ḳhushāmad kī jo bāteñ to vo man jaate haiñ
kaam bigḌe hue bātoñ hī meñ ban jaate haiñ
ḳhuub nibhtī hai ki jab kuchh na rahe baat kā paas
jis tarah tab.a ho ham vaise hī ban jaate haiñ
merī hamdardī hai bulbul ko bachānā yā-rab
dām-e-sayyād liye sū-e-chaman jaate haiñ
tum raho ġhairoñ meñ ab sharm rakho yā na rakho
ham hī is bazm se ai ahd-shikan jaate haiñ
the abhī to vo yahāñ kahte haiñ aur DhūñDhte haiñ
ḳhvāb ham dekh ke dīvāne se ban jaate haiñ
is tarah phirtī haiñ nazreñ tirī ham se be-dīd
chaukḌī bharte hue jaise hiran jaate haiñ
un se matlab nikal aate haiñ sab āsānī se
ḳhuub laḌ-bhiḌ ke jo aapas meñ vo chhan jaate haiñ
ham gaḌe jaate haiñ kyā kyā na hayā se dil meñ
dene jab ġhair ko vo gor-o-kafan jaate haiñ
kyoñ kisī aur kā ġhussa vo utāreñ ham par
biich meñ bol ke ham muft meñ san jaate haiñ
jab bahār aa.ī vahī dasht vahī tum 'sābir'
aap dīvāne haiñ jo sū-e-vatan jaate haiñ
jhukna paDta hai wo ghusse se jo tan jate hain
aap hum ruThte hain aap hi man jate hain
hon KHushamad ki jo baaten to wo man jate hain
kaam bigDe hue baaton hi mein ban jate hain
KHub nibhti hai ki jab kuchh na rahe baat ka pas
jis tarah taba ho hum waise hi ban jate hain
meri hamdardi hai bulbul ko bachana ya-rab
dam-e-sayyaad liye su-e-chaman jate hain
tum raho ghairon mein ab sharm rakho ya na rakho
hum hi is bazm se ai ahd-shikan jate hain
the abhi to wo yahan kahte hain aur DhunDhte hain
KHwab hum dekh ke diwane se ban jate hain
is tarah phirti hain nazren teri hum se be-did
chaukDi bharte hue jaise hiran jate hain
un se matlab nikal aate hain sab aasani se
KHub laD-bhiD ke jo aapas mein wo chhan jate hain
hum gaDe jate hain kya kya na haya se dil mein
dene jab ghair ko wo gor-o-kafan jate hain
kyon kisi aur ka ghussa wo utaren hum par
bich mein bol ke hum muft mein san jate hain
jab bahaar aai wahi dasht wahi tum 'sabir'
aap diwane hain jo su-e-watan jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.