jhulse hue sahra mein shajar dekh raha hun
jhulse hue sahrā meñ shajar dekh rahā huuñ
ummīd ke gulshan meñ sahar dekh rahā huuñ
jalvoñ kī tajallī kā talabgār hai ye dil
tū husn kā paikar hai nazar dekh rahā huuñ
har samt mohabbat ke na.e baab likhe haiñ
bas ḳhvāb se manzar haiñ jidhar dekh rahā huuñ
ik ḳhvāb kī tā'bīr hai darkār musalsal
ik aag kā dariyā hai safar dekh rahā huuñ
jaate hue logoñ ko tum āvāz na denā
ye hijr ke maare haiñ Dagar dekh rahā huuñ
vo shaḳhs mohabbat meñ ḳhatā-kār huā hai
har shaḳhs ke hoñToñ pe ḳhabar dekh rahā huuñ
har gaam haiñ rāhoñ meñ siyāsat ke bavanDar
mushkil meñ hai har ek bashar dekh rahā huuñ
kaisā hai sitam yaaro hai ye zarf bhī kaisā
jaltā huā apnā hī maiñ ghar dekh rahā huuñ
'ābid' tujhe ulfat kī tamanna hī nahīñ ab
kab se maiñ tirī samt-e-guzar dekh rahā huuñ
jhulse hue sahra mein shajar dekh raha hun
ummid ke gulshan mein sahar dekh raha hun
jalwon ki tajalli ka talabgar hai ye dil
tu husn ka paikar hai nazar dekh raha hun
har samt mohabbat ke nae bab likhe hain
bas KHwab se manzar hain jidhar dekh raha hun
ek KHwab ki ta'bir hai darkar musalsal
ek aag ka dariya hai safar dekh raha hun
jate hue logon ko tum aawaz na dena
ye hijr ke mare hain Dagar dekh raha hun
wo shaKHs mohabbat mein KHata-kar hua hai
har shaKHs ke honTon pe KHabar dekh raha hun
har gam hain rahon mein siyasat ke bawanDar
mushkil mein hai har ek bashar dekh raha hun
kaisa hai sitam yaro hai ye zarf bhi kaisa
jalta hua apna hi main ghar dekh raha hun
'abid' tujhe ulfat ki tamanna hi nahin ab
kab se main teri samt-e-guzar dekh raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.