jhuT ko sach to mere yar bana sakta hai
jhuuT ko sach to mire yaar banā saktā hai
ye hunar sun tujhe sardār banā saktā hai
tujh ko bhī haq hai siyāsat meñ chale jaane kā
tū agar ret kī dīvār banā saktā hai
ye nayā daur-e-taraqqī hai yahāñ sikkoñ se
koī ḳhirqa koī dastār banā saktā hai
muḳhtalif rog kī bas ek davā de de kar
ye masīhā hameñ bīmār banā saktā hai
zo.am sajdoñ kā jabīñ par na sajā.e phiriye
ye takabbur bhī gunahgār banā saktā hai
hosh vāloñ meñ ye charchā bhī bahut aam huā
mujh ko pāgal bhī mirā yaar banā saktā hai
Daal kar ḳhvāb na.e adh-khulī āñkho meñ yahāñ
sho.abada-bāz bhī sarkār banā saktā hai
bojh ho terī anā par jo sahārā 'dānish'
vo sahārā tujhe lāchār banā saktā hai
jhuT ko sach to mere yar bana sakta hai
ye hunar sun tujhe sardar bana sakta hai
tujh ko bhi haq hai siyasat mein chale jaane ka
tu agar ret ki diwar bana sakta hai
ye naya daur-e-taraqqi hai yahan sikkon se
koi KHirqa koi dastar bana sakta hai
muKHtalif rog ki bas ek dawa de de kar
ye masiha hamein bimar bana sakta hai
zoam sajdon ka jabin par na sajae phiriye
ye takabbur bhi gunahgar bana sakta hai
hosh walon mein ye charcha bhi bahut aam hua
mujh ko pagal bhi mera yar bana sakta hai
Dal kar KHwab nae adh-khuli aankho mein yahan
shoabada-baz bhi sarkar bana sakta hai
bojh ho teri ana par jo sahaara 'danish'
wo sahaara tujhe lachaar bana sakta hai
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.