jhuT sachchai ka hissa ho gaya
jhuuT sachchā.ī kā hissa ho gayā
ik tarah se ye bhī achchhā ho gayā
us ne ik jaadū bharī taqrīr kī
qaum kā nuqsān puurā ho gayā
shahr meñ do-chār kambal baañT kar
vo samajhtā hai masīhā ho gayā
ye terī āvāz nam kyuuñ ho ga.ī
ġham-zada maiñ thā tujhe kyā ho gayā
bevafā.ī aa ga.ī chaupāl tak
gaañv lekin shahr jaisā ho gayā
sach bahut sajtā thā merī zaat par
aaj ye kapḌā bhī chhoTā ho gayā
jhuT sachchai ka hissa ho gaya
ek tarah se ye bhi achchha ho gaya
us ne ek jadu bhari taqrir ki
qaum ka nuqsan pura ho gaya
shahr mein do-chaar kambal banT kar
wo samajhta hai masiha ho gaya
ye teri aawaz nam kyun ho gai
gham-zada main tha tujhe kya ho gaya
bewafai aa gai chaupal tak
ganw lekin shahr jaisa ho gaya
sach bahut sajta tha meri zat par
aaj ye kapDa bhi chhoTa ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.