jhuTa ye pyar upri chahat nahin qubul
jhūTā ye pyaar uuprī chāhat nahīñ qubūl
is baab meñ koī bhī vazāhat nahīñ qubūl
saada huuñ maiñ hai dil ko mire sādgī aziiz
donoñ ko ḳhud-numā.ī kī aadat nahīñ qubūl
apnā zamīr bech ke shohrat agar mile
baiThegī jhaag ban ke vo shohrat nahīñ qubūl
jo chāhe naam apnā likhe āb-e-zar ke saath
mujh ko ye āb-e-zar kī ibārat nahīñ qubūl
be-shak ġhazal chhape na chhape bin liye-diye
mujh ko suḳhan meñ aisī tijārat nahīñ qubūl
behtar yahī hai farsh-e-zamīñ par rahe nashist
paisoñ se jo mile vo sadārat nahīñ qubūl
'ḳhusrav' kisī kā aage nikalnā nahīñ pasand
parchhā.īñ kī bhī mujh ko qayādat nahīñ qubūl
jhuTa ye pyar upri chahat nahin qubul
is bab mein koi bhi wazahat nahin qubul
sada hun main hai dil ko mere sadgi aziz
donon ko KHud-numai ki aadat nahin qubul
apna zamir bech ke shohrat agar mile
baiThegi jhag ban ke wo shohrat nahin qubul
jo chahe nam apna likhe aab-e-zar ke sath
mujh ko ye aab-e-zar ki ibarat nahin qubul
be-shak ghazal chhape na chhape bin liye-diye
mujh ko suKHan mein aisi tijarat nahin qubul
behtar yahi hai farsh-e-zamin par rahe nashist
paison se jo mile wo sadarat nahin qubul
'KHusraw' kisi ka aage nikalna nahin pasand
parchhain ki bhi mujh ko qayaadat nahin qubul
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.