Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jhuTe ishq ka jazba der tak nahin rahta

Shahrukh Sahil Tulsipuri

jhuTe ishq ka jazba der tak nahin rahta

Shahrukh Sahil Tulsipuri

MORE BYShahrukh Sahil Tulsipuri

    jhūTe 'ishq jazba der tak nahīñ rahtā

    ret par banā naqsha der tak nahīñ rahtā

    sach to ye hai aksar vo mujh se ruuTh jaatā hai

    lekin us ye ġhussa der tak nahīñ rahtā

    ye ḳhudā qudrat hai baa'd paidā hone ke

    maañ ke duudh bin bachcha der tak nahīñ rahtā

    jitnī jald mumkin ho dekhne chale aao

    mere gaañv mela der tak nahīñ rahtā

    jhūTī shān-o-shaukat par mat ġhurūr kar nādāñ

    daulatoñ ye nashsha der tak nahīñ rahtā

    rāh-e-'ishq meñ vo jo ibtidā meñ hotā hai

    'āshiqī vo nashsha der tak nahīñ rahtā

    sach kaho hamesha tum kyūñki 'shāhruḳh'-sāhil'

    jhuuT par Tikā rishta der tak nahīñ rahtā

    jhuTe 'ishq ka jazba der tak nahin rahta

    ret par bana naqsha der tak nahin rahta

    sach to ye hai aksar wo mujh se ruTh jata hai

    lekin us ka ye ghussa der tak nahin rahta

    ye KHuda ki qudrat hai ba'd paida hone ke

    man ke dudh bin bachcha der tak nahin rahta

    jitni jald mumkin ho dekhne chale aao

    mere ganw ka mela der tak nahin rahta

    jhuTi shan-o-shaukat par mat ghurur kar nadan

    daulaton ka ye nashsha der tak nahin rahta

    rah-e-'ishq mein wo jo ibtida mein hota hai

    'ashiqi ka wo nashsha der tak nahin rahta

    sach kaho hamesha tum kyunki 'shahruKH'-sahil'

    jhuT par Tika rishta der tak nahin rahta

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now