jhuTi ana ke bojh ko sar se utar ke
jhūTī anā ke bojh ko sar se utaar ke
ik baar dekhte to sahī tum pukār ke
ab tak hai merī saañs meñ ḳhushbū basī huī
āñkhoñ meñ naqsh haiñ vahī lamhāt pyaar ke
hairat hai us ne kaise sabhī ḳhat jalā diye
likkhe hue the jis meñ sabhī lafz pyaar ke
jitnā sikhā diyā hai akele hayāt ne
ab muntazir nahīñ haiñ kisī ġham-gusār ke
juzv-e-badan rahā thā jo kal tak bichhaḌ gayā
tanhā.iyoñ ke zahr ko ḳhuuñ meñ utaar ke
jhuTi ana ke bojh ko sar se utar ke
ek bar dekhte to sahi tum pukar ke
ab tak hai meri sans mein KHushbu basi hui
aankhon mein naqsh hain wahi lamhat pyar ke
hairat hai us ne kaise sabhi KHat jala diye
likkhe hue the jis mein sabhi lafz pyar ke
jitna sikha diya hai akele hayat ne
ab muntazir nahin hain kisi gham-gusar ke
juzw-e-badan raha tha jo kal tak bichhaD gaya
tanhaiyon ke zahr ko KHun mein utar ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.