jhuTi baaton se bahla kar lauT gaya
jhūTī bātoñ se bahlā kar lauT gayā
sukh to aadhe raste aa kar lauT gayā
pyaar umaḌ kar patthar-dil tak aaya phir
dīvāroñ se sar Takrā kar lauT gayā
ek farishta aaya jī bahlāne ko
duniyā ke ġham se ghabrā kar lauT gayā
DhūñD rahe the ham be-ḳhud ho kar jis ko
vo ūñchī āvāz lagā kar lauT gayā
yādoñ kā ik jvaar uThā thā siine meñ
maazī ke kuchh naqsh banā kar lauT gayā
ek tasavvur us ke jaisā aaya kal
kuchh pal Thahrā phir iThlā kar lauT gayā
jhuTi baaton se bahla kar lauT gaya
sukh to aadhe raste aa kar lauT gaya
pyar umaD kar patthar-dil tak aaya phir
diwaron se sar Takra kar lauT gaya
ek farishta aaya ji bahlane ko
duniya ke gham se ghabra kar lauT gaya
DhunD rahe the hum be-KHud ho kar jis ko
wo unchi aawaz laga kar lauT gaya
yaadon ka ek jwar uTha tha sine mein
mazi ke kuchh naqsh bana kar lauT gaya
ek tasawwur us ke jaisa aaya kal
kuchh pal Thahra phir iThla kar lauT gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.