jhuTi tasalliyon pe guzar kar rahe hain log
jhūTī tasalliyoñ pe guzar kar rahe haiñ log
kāġhaz kī kashtiyoñ meñ safar kar rahe haiñ log
ab bhī haiñ shab-gazīda sahar kī tajalliyāñ
nādāñ haiñ etibār-e-nazar kar rahe haiñ log
kyā apne bāzuoñ pe bharosā nahīñ rahā
kyoñ bebasī se ziist basar kar rahe haiñ log
gulshan-parastiyoñ pe na harf aa.e dosto
maanā fazā ko zahr-asar kar rahe haiñ log
lagtā hai koī ḳhvāb sunahre dikhā gayā
shiddat se intizār-e-sahar kar rahe haiñ log
pahle daraḳht-e-ḳhurma se saa.e kā thā gila
bargad se ab umīd-e-samar kar rahe haiñ log
'tālib' kise hai aaj suḳhan-fahmiyoñ se kaam
kyoñ ārzū-e-dād-e-hunar kar rahe haiñ log
jhuTi tasalliyon pe guzar kar rahe hain log
kaghaz ki kashtiyon mein safar kar rahe hain log
ab bhi hain shab-gazida sahar ki tajalliyan
nadan hain etibar-e-nazar kar rahe hain log
kya apne bazuon pe bharosa nahin raha
kyon bebasi se zist basar kar rahe hain log
gulshan-parastiyon pe na harf aae dosto
mana faza ko zahr-asar kar rahe hain log
lagta hai koi KHwab sunahre dikha gaya
shiddat se intizar-e-sahar kar rahe hain log
pahle daraKHt-e-KHurma se sae ka tha gila
bargad se ab umid-e-samar kar rahe hain log
'talib' kise hai aaj suKHan-fahmiyon se kaam
kyon aarzu-e-dad-e-hunar kar rahe hain log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.