jidhar bhi dekhiye har su hamein aghyar milte hain
jidhar bhī dekhiye har sū hameñ aġhyār milte haiñ
jahāñ par ham qadam rakkheñ vahīñ par ḳhaar milte haiñ
sunā.ūñ mājrā-e-ġham kise is ġham ke aalam meñ
ki is nagrī ke baasī jaan se bezār milte haiñ
hazāroñ saath dete haiñ ḳhushī ke vaqt meñ paiham
ki jab qismat bigaḌtī hai kahāñ phir yaar milte haiñ
ḳhizāñ ne kar diyā pāmāl yā-rab gulshan-e-hastī
ki har jānib hameñ ujḌe hue gulzār milte haiñ
na ghabrā ai dil-e-muztar ye dastūr-e-zamāna hai
mohabbat karne vāloñ ko faqat āzār milte haiñ
nasīm-e-sub.h gulshan meñ na.e ġhunche khilātī hai
sabhī ahl-e-mohabbat ahl-e-dil sarshār milte haiñ
kabhī aisā bhī e.ajāz-e-mohabbat rañg dikhātā hai
talab kī raah meñ aksar hameñ ġham-ḳhvār milte haiñ
jidhar bhi dekhiye har su hamein aghyar milte hain
jahan par hum qadam rakkhen wahin par KHar milte hain
sunaun majra-e-gham kise is gham ke aalam mein
ki is nagri ke basi jaan se bezar milte hain
hazaron sath dete hain KHushi ke waqt mein paiham
ki jab qismat bigaDti hai kahan phir yar milte hain
KHizan ne kar diya pamal ya-rab gulshan-e-hasti
ki har jaanib hamein ujDe hue gulzar milte hain
na ghabra ai dil-e-muztar ye dastur-e-zamana hai
mohabbat karne walon ko faqat aazar milte hain
nasim-e-subh gulshan mein nae ghunche khilati hai
sabhi ahl-e-mohabbat ahl-e-dil sarshaar milte hain
kabhi aisa bhi eajaz-e-mohabbat rang dikhata hai
talab ki rah mein aksar hamein gham-KHwar milte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.