jidhar bhi jaun yahi silsila nikalta hai
jidhar bhī jā.ūñ yahī silsila nikaltā hai
tumhāre ghar kī taraf rāsta nikaltā hai
maiñ ek umr se un dā.eroñ kā qaidī huuñ
qadam jahāñ bhī rakhūñ dā.era nikaltā hai
maiñ āzmāne chalā huuñ jahāñ pe jins-e-ḳhulūs
nazar nazar se vahāñ zahr sā nikaltā hai
jo shaḳhs jaan se pyārā ho shaiḳh sāhab ko
qasam ḳhudā kī vahī dahriyā nikaltā hai
tumhāre shahr meñ kyā kar rahe haiñ mere log
galī galī se mirā āshnā nikaltā hai
vahī to shahr hai 'ḳhālid' naqāb-poshoñ kā
har āstīñ se jahāñ aa.ina nikaltā hai
jidhar bhi jaun yahi silsila nikalta hai
tumhaare ghar ki taraf rasta nikalta hai
main ek umr se un daeron ka qaidi hun
qadam jahan bhi rakhun daera nikalta hai
main aazmane chala hun jahan pe jins-e-KHulus
nazar nazar se wahan zahr sa nikalta hai
jo shaKHs jaan se pyara ho shaiKH sahab ko
qasam KHuda ki wahi dahriya nikalta hai
tumhaare shahr mein kya kar rahe hain mere log
gali gali se mera aashna nikalta hai
wahi to shahr hai 'KHalid' naqab-poshon ka
har aastin se jahan aaina nikalta hai
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 83)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.