jidhar dekhta hun nazara tera hai
jidhar dekhtā huuñ nazāra tirā hai
asar bandagī kā hai yā mo.ajiza hai
varaq zindagī ke palaTte haiñ jab jab
maiñ hairat se dekhūñ ki kyā kyā likhā hai
ye maujeñ ye sāhil ye kashtī ye dariyā
na jaane kahāñ nāḳhudā lāpata hai
vahī moḌ haiñ aur vahī rahguzar bhī
ġhazab ye hai ki har musāfir nayā hai
lagāte raho laakh chehre pe chehre
magar yaad ho sāmne aa.ina hai
na panghaT na rishte na sukh-dukh kī bāteñ
mirā gaañv ab shahr jo ban gayā hai
bahakne lagī hai zabāñ ab to un kī
yuuñ daulat-o-shohrat kā chaḌhtā nasha hai
jidhar dekhta hun nazara tera hai
asar bandagi ka hai ya moajiza hai
waraq zindagi ke palaTte hain jab jab
main hairat se dekhun ki kya kya likha hai
ye maujen ye sahil ye kashti ye dariya
na jaane kahan naKHuda lapata hai
wahi moD hain aur wahi rahguzar bhi
ghazab ye hai ki har musafir naya hai
lagate raho lakh chehre pe chehre
magar yaad ho samne aaina hai
na panghaT na rishte na sukh-dukh ki baaten
mera ganw ab shahr jo ban gaya hai
bahakne lagi hai zaban ab to un ki
yun daulat-o-shohrat ka chaDhta nasha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.