jidhar hawaen chalin us taraf chala main bhi
jidhar havā.eñ chalīñ us taraf chalā maiñ bhī
zamāna-sāz thā mausam-shanās thā maiñ bhī
tamām log mujhe dekhte rahe lekin
tamām logoñ ko bas dekhtā rahā maiñ bhī
mujhe fareb na do dil-fareb bātoñ se
zamāna ho gayā mujh ko sañbhal gayā maiñ bhī
vo āñdhiyoñ meñ añdheroñ meñ kho gayā hai kahīñ
charāġh le ke use DhūñDhtā rahā maiñ bhī
jidhar hawaen chalin us taraf chala main bhi
zamana-saz tha mausam-shanas tha main bhi
tamam log mujhe dekhte rahe lekin
tamam logon ko bas dekhta raha main bhi
mujhe fareb na do dil-fareb baaton se
zamana ho gaya mujh ko sanbhal gaya main bhi
wo aandhiyon mein andheron mein kho gaya hai kahin
charagh le ke use DhunDhta raha main bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.