jidhar nazren uThaen tirgi hai
jidhar nazreñ uThā.eñ tīrgī hai
hamārī zindagī kyā zindagī hai
ye manzil hai to ai as.hāb-e-manzil
ye merī ruuh meñ kyā tishnagī hai
ye ġham kī intihā hai yā vafā kī
nazar meñ pyaas hoñToñ par hañsī hai
ye dil meñ dard chamkā yā koī yaad
ye kaisī aag kī sī raushnī hai
ḳhirad kī intihā mujh se na pūchho
jab us kī ibtidā dīvāngī hai
use ḳhatra hai sirf ik fasl-e-gul kā
ḳhizāñ ko kis qadar āsūdgī hai
jidhar nazren uThaen tirgi hai
hamari zindagi kya zindagi hai
ye manzil hai to ai ashab-e-manzil
ye meri ruh mein kya tishnagi hai
ye gham ki intiha hai ya wafa ki
nazar mein pyas honTon par hansi hai
ye dil mein dard chamka ya koi yaad
ye kaisi aag ki si raushni hai
KHirad ki intiha mujh se na puchho
jab us ki ibtida diwangi hai
use KHatra hai sirf ek fasl-e-gul ka
KHizan ko kis qadar aasudgi hai
- Book : Range-e-Gazal (Pg. 154)
- Author : shahzaad ahmad
- Publication : Ali Printers, 19-A Abate Road, Lahore (1988)
- Edition : 1988
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.